Lyrics

Bachpan ka rishta purana hai
Sadiyon Se door begana hai
Kabhi hamara, ab yeh anjaana hai
Zindagi ka ajeeb fasana hai

Bachpan ka rishta purana hai
Sadiyon se door begana hai
Kabhi hamara, ab ye tumhara hai
Mujhko Apna Bachpan Yaad aata hai

Waqt ghumade woh pal lauta de
Dhool mein lipte khilone dikha de
Baarish ki boondein woh mitti ka khilna
Doston se kyon tha bichadna

Mujhko apna bachpan yaad aata hai
Kaash woh lamha na guzarta kabhi bhi
Mujhko apna bachpan yaad aata hai
Khil uthi hai woh beeti zindagani
Mujhko apna bachpan yaad aata hai

Bholi si surat aankhon mein masti
Ruthna machalna hasna kabhi bhi
Na koi dukh na chinta fikar
Hassi se bhara Bachpan mera

Mujhko apna bachpan yaad aata hai
Kaash woh lamha na guzarta kabhi bhi
Mujhko apna bachpan yaad aata hai
Khil uthi hai woh beeti zindagani
Mujhko apna bachpan yaad aata hai

Bachpan ka rishta purana hai
Sadiyon se door begana hai
Kabhi hamara, ab ye tumhara hai
Mujhko Apna Bachpan Yaad aata hai

Written by: Mudit